Friday, October 10, 2008

This is what Bhagwan Shri Krishna wants to tell you .

Dear Friends....This is what Bhagwan Shri Krishna wants to tell you .

Hey .......(Employee) ,

Incentive nahi mila, Bura Huva

salary cut rahi hai, Bura Huva

Extra shift hogi, woh bhi bure hogi.

Hey Arjuna,

Tum pichla incentive na milne ka paschatap na karo,

Tum agle incentive ki chinta na karo,

Bus apni salary main santusta raho....

Tumhari pocket se kya gaya , jo rote ho?

Jo aaya tha sab uper ki income thee.

Tum jab nahi the, tab bhi company chal rahi thee

Tum jab nahi hoge, tab bhi chalegee.

Hey Dhananjaya,

Tum ne aisa kaun sa response diya, jo tumhara tha.

Sab kuch, 'cut-copy-paste' ka khel tha.

Tum koi experience leker nahi aaye the..

Jo experience mila, yahi mila...

Jo support diya company ke liye...

Degree leker aaye the, experience leker chalo.

Jo system aaj tumhara hai...

Woh kal kisi aur ka tha....

Kal kisi aur ka or parson kisi aur ka hoga..

Tum ise apna samajh kar kyo magan ho rahe ho..

Hey Kaunteya,

Yahi tumhari tension kaa kaaran hai.

"Kyo wayarth chinta karte ho, kisse wayarth darte ho,

Kaun tumhe nikaal sakta hai......"

' Policy change' company ka rule hai.

Jise tum policy change kahte ho, wahi to trick hai.

"Ek pal main tum Best performer or Hero no.1 ya Super

Star ban jaate ho,

Dusre pal main tum worst performer aur target nahin

achieve kar paatey ho."

Appraisal, incentive etc. etc. mann se hata do,

Vichaar se mita do. . .

Phir company tumhari hai or tum company ke.

Tasmat Arjuna,

Na yeh increment wageyrah tumhare liye hai, na tum

iske kabhi the. Parantu job secure hai Phir tum

tension kyon lete ho........? Tum apne aap ko company

ko arpit kar do. Yahi sabse bada golden rule hai. Jo

is golden rule ko jaanta hai, woh review,

incentive,recession ,retirement aadi se sada ke liye

muqt ho jaata hai...
Thanks and Regards

No comments: